Motivational Lines In Hindi

Motivational lines in Hindi, Best motivational Story in hindi


Jindagi me hame bahut kuch karne ka man karta hai. Bahut success hoke apni life ko ek alag life style banane ka man karta hai.har ek insaan ka ek hi sapna hota hai kuch alag karke life me bahut success hona,But iske liye life me har time Motivational hona jaruri hai.

Ek baat mai aaj aapko batana chahunga ki agar life me success hona hai toh sabar aur mehanat karna jaruri hai lekin mehanat ka ye matlab nahi ki aap ka goal ek tarf hai aur aap ek tarf ki race me bhaag rahe ho.

Also Read : Valentines day shayari in hindi


To chaliye 5 success mantr jaan lete hai jo aapko apni life me positive rakhne ke kaam aayenge.

  • Hamesa jo paisa kamate ho uska 10% save karo.

  • Kuch v kharidne market jaate ho to discount lene ki aadat daal lo kyu ki agar aap kisi ek chij me RS.20 bhi discount lete ho toh iska matlab aapne 20rs kamaliye.

  • Jo jarurat ki chije nahi ho wo mat kharido yaa jis chij se saste me kaam chal raha hai to wo chije sasti hi kharido kyu ki ye paiae aapko future me muskil me kaam aasakte hai

  • Aapne saadi nahi kar rakhi hai to ye samay aapka saving ka hai dosto ke saath money barbaad naa kare.

  • Jo aapke paas hai isi me khush rahne ki kosih kijiye kyu ki jo aapke paas aaj hai wo kal nahi tha, positive soch success ka ek sachha raasta hai.


Aapko hamare diye gaye sallah kaisa laga, please comment karke bataye.aapke man mai koe aur Idea hai to hame bataye. 

Zindagi ko aasan kaise banaye

Zindagi ko aashan banane ke liye sab se pahale zindagi ko samajhna padtta hai. jab zindagi kya hai? yeh aap ke samajh aa jata hai tab aap use aasan tarike se jeene ke tarike dhud skte hai.

Hamesha hamari life mai kuch na kuch samasya aati rahati hai, aur ham unse ladte rahate hai,

lekin bahut logo yeh pata nahi hai ki shi tarike se kisi bhi problums ko samadhan kaise karate hai..

kisi bhi problums ko samadhan karne ke liye sabase pahale hame apani himmat aur hausale ko barkarar rakhna hoga.

kyu ki kisi bhi samasya ka hal usi samasya ke anadr hi chhupa hota hai.

jaise ki ek example: jab ek machwara machli ko pakadne ke liye kisi bhi nadi par jaal fekta hai tab uske net jaal mai wahi machli fash jaati hai jo waha se bhaagne ki kosish karte hai.

woh machli bach jati hai jo uske pair ke aas paas hoti hai.

kyu ki machwara machli ko pakadne ke liye jaal ko dur fekta hai.

niskarsh: iska ka matlab yeh hai ki jab koi bhi problums aaye hamari life mai tab hame bhagna nahi chahiye , walki hame uske saathhi kuch na kuch samadhan dhudna chahiye.


kissi bhi problums ko kaise pahchane

kisi bhi samasya ko pahachan ne ke liye hame samasya ko baariki se samajhna hoga, naa ki pahle se hi usse bhagna ....

kisi bhi samasya ko pahachan ne ke mukhya in tarike hai..

1. jab koi samsya aaye , sabse pahle yeh jaanne ki kosish kare ki yeh samasya kis bajay se aayi hai.

2. jab samasya pata lag jaaye , uske baad yeh jaanne ki kosish kare ki kyaa yeh samsya kisi se baat karte yaa batake samadhan ho sakti hai.

agar ho sakta hai toh uska sahi tarike se samadhan kare.

himmat banaye rakhe.........

Motivational Lines ko follow karna naa bhule............






1 Comments

Post a Comment

Previous Post Next Post

Facebook